*✾ Sawaal Jawaab ✾*
*❧ Sawaal :* Taqdeer kise kehte hain?
*❧ Jawaab :* Saare aalam mein jo kuchh huwa, hota hai aur hoga, tamaam cheezon ka Allah Ta'ala ko pehle se ilm hai, Allah Ta'ala ke isi ilm ko "Taqdeer" kehte hain.
✺ [Sharahul Aqeedah At Tahaawiyah: 272]
*❧ Sawaal :* Achchhe bure haalaat sab kis ki taraf se hain?
*❧ Jawaab :* Achchhe bure haalaat sab Allah Ta'ala ki taraf se hain.
✺ [Sura-e-Nisa: 78]
*❧ Sawaal :* Agar achchhe haalaat pesh aayein, to kya karna chaahiye?
*❧ Jawaab :* Agar achchhe haalaat pesh aayein, to Allah Ta'ala ka shukr ada karna chaahiye.
✺ [Sahih Muslim: 7692]
*❧ Sawaal :* Agar bure haalaat pesh aayein, to kya karna chaahiye?
*❧ Jawaab :* Agar bure haalaat pesh aayein, to tauba wa istigfaar karna chaahiye.
✺ [Sahih Muslim: 7692]
✺ Ref: Deeniyat Course book
No comments:
Post a Comment