*✾ Sawaal Jawaab ✾*
*❧ Sawaal :* Qayaamat ka din kise kehte hain?
*❧ Jawaab :* Jis din tamaam insaan mar jaayeinge, zameen -o-aasmaan aur poori kaainaat tabaah-o-barbaad ho jaayegi, us din ko "Qayaamat ka din" kehte hain.
✺ [Sura-e-Haaqqa: 13-16]
*❧ Sawaal :* Tamaan insaan aur jaandaar kaise mar jaayeinge?
*❧ Jawaab :* Hazrat Israafeel Alaihissalam soor phoonkeinge, jis ki daraawni aawaaz se sab mar jaayeinge aur har cheez toot phoot kar fana ho jaayegi.
✺ [Sura-e-Zumar: 68]
*❧ Sawaal :* Qayaamat kab aayegi?
*❧ Jawaab :* Us ka thheek waqt Allah Ta'ala ke alaawa koi nahin jaanta.
✺ [Sura-e-Luqmaan: 34]
✺ Ref: Deeniyat Course book
No comments:
Post a Comment