*✾ Sawaal Jawaab ✾*
*❧ Sawaal :* Qabr mein sawaal karne waale farishton ko kya kehte hain?
*❧ Jawaab :* Qabr mein sawaal karne waale farishton ko "Munkar Nakeer" kehte hain.
✺ [Tirmizi: 1071]
*✾ Aasmaani Kitaaein ✾*
*❧ Sawaal :* Allah Ta'ala ne kitaabein kyun naazil farmaeein?
*❧ Jawaab :* Allah Ta'ala ne insaanon ki hidaayat ke liye kitaabein naazil farmaeein.
✺ [Sura-e-Aal-e-Imraan: 3,4]
*❧ Sawaal :* Allah Ta'ala ki kitaabein kitni hain?
*❧ Jawaab :* Chhoti badi bahot saari kitaabein hain.
✺ [Saheeh Ibn-e-Hibbaan: 361]
*❧ Sawaal :* Allah Ta'ala ki chhoti aur badi kitaabon ko kya kehte hain?
*❧ Jawaab :* Chhoti kitaab ko "Saheefa" aur badi kitaab ko "Kitaab" kehte hain.
✺ [Roohul Ma'aani : 30/111]
✺ Ref: Deeniyat Course book
No comments:
Post a Comment