*✾ Sawaal Jawaab ✾*
*❧ Sawaal :* Chaar Mashhoor "Aasmaani Kitaabein" kaun kaun si hain?
*❧ Jawaab :* Taurait, Zaboor, Injeel aur Qur'aan-e-Majeed.
✺ [Saheeh Ibn-e-Hibbaan: 361]
*❧ Sawaal :* "Taurait" kis Nabi par naazil hui?
*❧ Jawaab :* Taurait Hazrat Moosa Alaihissalam par naazil hui.
✺ [Sahih Muslim: 4536]
*❧ Sawaal :* "Zaboor" kis Nabi par naazil hui?
*❧ Jawaab :* Zaboor Hazrat Dawood Alaihissalam par naazil hui.
✺ [Sura-e-Nisa: 163]
*❧ Sawaal :* "Injeel" kis Nabi par naazil hui?
*❧ Jawaab :* Injeel Hazrat Isa Alaihissalam par naazil hui.
✺ [Sura-e-Hadeed: 27]
✺ Ref: Deeniyat Course book
No comments:
Post a Comment