*✾ Sawaal Jawaab ✾*
*❧ Sawaal :* "Rasool" kise kehte hain?
*❧ Jawaab :* Allah Ta'ala ke bheje huwe paigambar ko Rasool kehte hain.
✺ [Sharahul Aqeedah At Tahaawiya: 1/1656]
*❧ Sawaal :* Allah Ta'ala ne Rasool kyun bheje?
*❧ Jawaab :* Allah Ta'ala ne insaanon ko seedha raasta dikhaane ke liye Rasool bheje.
✺ [Sura-e-Talaaq: 11]
*❧ Sawaal :* Rasool kaun hote hain?
*❧ Jawaab :* Rasool, Allah ke bande aur sab se achche insaan hote hain.
✺ [Sura-e-Ibrahim: 11-12]
*❧ Sawaal :* Rasool hamein kin baaton ki taaleem dete hain?
*❧ Jawaab :* Rasool hamein achchhi achchhi baaton ki taaleem dete hain.
✺ [Sura-e-Aale Imraan: 164]
✺ Ref: Deeniyat Course book
No comments:
Post a Comment