✾ Sawaal Jawaab ✾
❧ Sawaal: Hamaara Rab kaun hai?
❧ Jawaab: Hamaara Rab Allah hai.
✺ [Sura-e-Ha Meem Sajda: 30]
❧ Sawaal: Hamein kis ne paida kiya?
❧ Jawaab: Hamein Allah Ta'ala ne paida kiya.
✺ [Sura-e-Teen: 4]
❧ Sawaal: Kya poori duniya ke logon ko tanha Allah hi ne paida kiya?
❧ Jawaab: Ji haan ! Poori duniya ke logon ko tanha Allah hi ne paida kiya.
✺ [Sure-e-Sajda: 4]
❧ Sawaal: Kya yeh duniya khud bakhud ban gayi?
❧ Jawaab: Nahin ; is duniya ko Allah Ta'ala ne banaaya.
✺ [Sura-e-Sajda: 4]
✺ Ref: Deeniyat Course book
No comments:
Post a Comment