*✾ Sawaal Jawaab ✾*
*❧ Sawaal :* Kya Allah Ta'ala ke beewi bachche hain?
*❧ Jawaab :* Nahin ! Allah Ta'ala ke beewi bachche nahin hain.
✺ [Sura-e-An'aam: 101]
*❧ Sawaal :* Kya Allah Ta'ala ki kisi se rishtedaari hai?
*❧ Jawaab :* Nahin ! Woh tamaam rishton se paak hai.
✺ [Sura-e-Ikhlaas: 3]
*❧ Sawaal :* Kya makhlooq ki tarah Allah Ta'ala ki shakl-o-soorat hai?
*❧ Jawaab :* Nahin ! Allah Ta'ala shakl-o-soorat se paak hai.
✺ [Sura-e-Shoora: 11]
*❧ Sawaal :* Kya Allah Ta'ala khaata, peeta aur sota hai?
*❧ Jawaab :* Allah Ta'ala ko khaane peene aur sone ki zaroorat nahin.
✺ [Sura-e-An'aam: 14, Sura-e-Baqarah: 255]
✺ Ref: Deeniyat Course book
No comments:
Post a Comment