✾ Sawaal Jawaab ✾
*❧ Sawaal:* Aasmaan, zameen, chaand, sooraj, oonche oonche pahaad aur bade bade darya kis ne banaaye?
*❧ Jawaab:* Aasmaan, zameen, chaand, sooraj, oonche oonche pahaad aur bade bade darya Allah Ta'ala hi ne banaaye.
✺ [Sura-e-Ankaboot: 61, Sura-e-Qaaf: 38]
*❧ Sawaal:* Kya Allah Ta'ala ko kisi ne paida kiya?
*❧ Jawaab:* Nahin ! Allah Ta'ala ko kisi ne paida nahin kiya.
✺ [Sura-e-Ikhlaas: 3]
*❧ Sawaal:* Allah Ta'ala kab se hai aur kab tak rahega?
*❧ Jawaab:* Allah Ta'ala hamesha se hai aur hamesha rahega.
✺ [Sura-e-Rahmaan: 27]
*❧ Sawaal:* Kya Allah Ta'ala ke maan baap hain?
*❧ Jawaab:* Nahin ! Allah Ta'ala ke maan baap nahin hain.
✺ [Sura-e-Ikhlaas: 3]
✺ Ref: Deeniyat Course book
No comments:
Post a Comment