Thursday, September 4, 2025

Aqaaid (Final Part-71)

*​✾ Sawaal Jawaab ✾*

*❧ Sawaal :​* Kya Jannatiyon ko Jannat mein kabhi maut aayegi?

*❧ Jawaab :​* Nahin ! Balke Jannati Jannat mein hamesha hamesh raheinge.

✺ [Tirmizi: 2557]

*❧ Sawaal :​* Jahannam kaisi jagah hai?

*❧ Jawaab :​* Jahannam nihaayat hi takleef ki jagah hai.

✺ [Sura-e-Naba: 21-25]

*❧ Sawaal :​* Jahannam kis ke liye tayyaar ki gayi hai?

*❧ Jawaab :​* Jahannam kaafiron aur mushrikon ke liye tayyaar ki gayi hai.

✺ [Sura-e-Aal-e-Imraan: 131, Sura-e-Baiyyinah: 6]

*❧ Sawaal :​* Jahannam mein kya kya hoga?

*❧ Jawaab :​* Jahannam mein bade bade saanp aur bichchhu honge, peene ke liye khaulta huwa paani aur peep aur khaane ke liye kaantedaar darakht honge.

✺ [Musnad-e-Ahmad: 17712, Sura-e-Saad: 57]

*[[..Alhamdulillah Mukammal..]]*

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Wednesday, September 3, 2025

Aqaaid (Part-70)

*​✾ Sawaal Jawaab ✾*

*❧ Sawaal :​* Hisaab lene ke baad kya hoga?

*❧ Jawaab :​* Hisaab lene ke baad Jannat aur Jahannam ka faisla hoga.

✺ [Sura-e-Mominoon: 102, 103]

*❧ Sawaal :​* Jannat kaisi jagah hai?

*❧ Jawaab :​* Jannat nihaayat hi aaraam ki jagah hai.

✺ [Sura-e-Dahar: 12-14]

*❧ Sawaal :​* Jannat kis ke liye tayyaar ki gayi hai?

*❧ Jawaab :​* Jannat Imaan waalon ke liye tayyaar ki gayi hai.

✺ [Surah-e-Nisa: 57]

*❧ Sawaal :​* Jannatiyon ko kaun kaun si nematein mileingi?

*❧ Jawaab :​* Jannatiyon ko Jannat mein sone, chaandi ki eenton ke mahallaat, doodh aur shahed ki nehrein, har qism ke phal aur phool aur jin cheezon ki Jannati tamanna kareinge woh sab mileingi.

✺ [Sura-e-Zukhruf: 71, Sura-e-Muhammad: 15, Tirmizi: 2526]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Tuesday, September 2, 2025

Aqaaid (Part-69)

*​✾ Sawaal Jawaab ✾*

*❧ Sawaal :​* Ba'as ba'adal maut (marne ke baad dobaara zinda hona) kise kehte hain?

*❧ Jawaab :​* Jab qayaamat mein saari cheezein fana ho jaayeingi aur Hazrat Israafeel Alaihissalam doosri martaba soor phoonkeinge phir Allah Ta'ala ke hukm se saara aalam dobaara paida hoga aur tamaam murda insaan aur haiwaan zinda ho jaayeinge aur maut ke baad ki zindagi shuru ho jaayegi, isi ko "Baas ba'adal maut" (Marne ke baad dobaara zinda hona) kehte hain.

✺ [Sura-e-Yaaseen: 51]

*❧ Sawaal :​* Kya marne ke baad dobaara zinda karna Allah Ta'ala ke liye mushkil hai?

*❧ Jawaab :​* Marne ke baad dobaara zinda karna Allah Ta'ala ke liye koi mushkil nahin.

✺ [Sura-e-Qiyaama: 4]

*❧ Sawaal :​* Dobaara zinda hone ke baad kya hoga?

*❧ Jawaab :​* Dobaara zinda hone ke baad achchhe bure aamaal ka hisaab hoga.

✺ [Sura-e-Zilzaal: 6-8]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Monday, September 1, 2025

Aqaaid (Part-68)

*​✾ Sawaal Jawaab ✾*

*❧ Sawaal :​* Jin cheezon ka hona muqaddar hai kya unko koi rok sakta hai?

*❧ Jawaab :​* Jin cheezon ka hona muqaddar hain un ko koi rok nahin sakta.

✺ [Abu Dawood: 4700]

*❧ Sawaal :​* Taqdeer ke baare mein hamein kya taaleem di gayi hai?

*❧ Jawaab :​* Taqdeer ke baare mein hamein taaleem di gayi hai ke us ke baare mein koi bahes aur hujjat na karein.

✺ [Tirmizi: 2133]

*❧ Sawaal :​* Pehli ummatein kyun halaak huweein?

*❧ Jawaab :​* Pehli ummaten taqdeer ke baare mein bahes aur hujjat karne ki wajah se halaak huweein.

✺ [Tirmizi: 2133]

*❧ Sawaal :​* Kya marne ke baad dobaara zinda hona hai?

*❧ Jawaab :​* Ji haan, marne ke baad dobaara zinda hona hai.

✺ [Sura-e-Saaffaat: 16-18]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp