Sunday, August 31, 2025

Aqaaid (Part-67)

*​✾ Sawaal Jawaab ✾*

*❧ Sawaal :​* Taqdeer kise kehte hain?

*❧ Jawaab :​* Saare aalam mein jo kuchh huwa, hota hai aur hoga, tamaam cheezon ka Allah Ta'ala ko pehle se ilm hai, Allah Ta'ala ke isi ilm ko "Taqdeer" kehte hain.

✺ [Sharahul Aqeedah At Tahaawiyah: 272]

*❧ Sawaal :​* Achchhe bure haalaat sab kis ki taraf se hain?

*❧ Jawaab :​* Achchhe bure haalaat sab Allah Ta'ala ki taraf se hain.

✺ [Sura-e-Nisa: 78]

*❧ Sawaal :​* Agar achchhe haalaat pesh aayein, to kya karna chaahiye?

*❧ Jawaab :​* Agar achchhe haalaat pesh aayein, to Allah Ta'ala ka shukr ada karna chaahiye.

✺ [Sahih Muslim: 7692]

*❧ Sawaal :​* Agar bure haalaat pesh aayein, to kya karna chaahiye?

*❧ Jawaab :​* Agar bure haalaat pesh aayein, to tauba wa istigfaar karna chaahiye.

✺ [Sahih Muslim: 7692]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Saturday, August 30, 2025

Aqaaid (Part-66)

*​✾ Sawaal Jawaab ✾*

*❧ Sawaal :​* Kya hamaare paigambar ﷺ ne qayaamat ki kuchh nishaaniyaan bataai hain jin ko dekh kar qayaamat ka qareeb aana maaloom ho sakta hai?

*❧ Jawaab :​* Ji haan.

✺ [Sahih Muslim: 102]

*❧ Sawaal :​* Qayaamat ki nishaaniyaan kya hain?

*❧ Jawaab :​* Qayaamat ki bahot si nishaaniyaan hain jaise : Duniya mein gunaah ziyaada honge, log apne maan baap ki na farmaaniyaan kareinge, naach gaana aam ho jaayega, Hazrat Mehdi RaziyAllahu anhu zaahir honge, kaana Dajjaal niklega, us ko qatl karne ke liye Hazrat Isa Alaihissalam aasmaan se utreinge, Yaajooj Maajooj nikleinge, sooraj magrib se niklega, Qur'aan Majeed uthha liya jaayega, saare musalmaan mar jaayeinge aur tamaam duniya kaafiron se bhar jaayegi, jab yeh saari cheezein ho-jaayeingi to us waqt Hazrat Israafeel Alaihissalam soor phoonkeinge aur qayaamat qaaim hojaayegi.

✺ [Sahih Muslim: 7467, Sahih Muslim: 7590, Tirmizi: 2210, As Sunanil Waaridati Fil Fitan: 3/595]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Friday, August 29, 2025

Aqaaid (Part-65)

*​✾ Sawaal Jawaab ✾*

*❧ Sawaal :​* Qayaamat ka din kise kehte hain?

*❧ Jawaab :​* Jis din tamaam insaan mar jaayeinge, zameen -o-aasmaan aur poori kaainaat tabaah-o-barbaad ho jaayegi, us din ko "Qayaamat ka din" kehte hain.

✺ [Sura-e-Haaqqa: 13-16]

*❧ Sawaal :​* Tamaan insaan aur jaandaar kaise mar jaayeinge?

*❧ Jawaab :​* Hazrat Israafeel Alaihissalam soor phoonkeinge, jis ki daraawni aawaaz se sab mar jaayeinge aur har cheez toot phoot kar fana ho jaayegi.

✺ [Sura-e-Zumar: 68]

*❧ Sawaal :​* Qayaamat kab aayegi?

*❧ Jawaab :​* Us ka thheek waqt Allah Ta'ala ke alaawa koi nahin jaanta.

✺ [Sura-e-Luqmaan: 34]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Thursday, August 28, 2025

Aqaaid (Part-64)

*​✾ Sawaal Jawaab ✾*

*❧ Sawaal :​* Hamaare Nabi ﷺ ke baad jo shakhs apne Nabi hone ka daawa kare woh kaisa hai?

*❧ Jawaab :​* Hamaare Nabi ﷺ ke baad jo shakhs apne Nabi hone ka daawa kare woh sab se bada jhoota hai.

✺ [Mustadrak: 8390]

*❧ Sawaal :​* Tamaam nabiyon mein sab se afzal kaun hain?

*❧ Jawaab :​* Tamaam nabiyon mein sabse afzal hamaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ hain.

✺ [Sahih Muslim: 1195]

*❧ Sawaal :​* Rasoolon par Imaan laane ka kya matlab hai?

*❧ Jawaab :​* Rasoolon par Imaan laane ka matlab yeh hai ke ham un sab ko Allah ka sachcha rasool samjhein.

✺ [Sura-e-baqarah: 285]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Wednesday, August 27, 2025

Aqaaid (Part-63)

*​✾ Sawaal Jawaab ✾*
*❧ Sawaal :​* Hamaare Nabi ka naam kya hai?
*❧ Jawaab :​* Hamaare Nabi ka naam Hazrat "Muhammad" ﷺ hai.
✺ [Sura-e-Ahzaab: 40]
*❧ Sawaal :​* Sab se pehle Nabi kaun hain?
*❧ Jawaab :​* Sab se pehle Nabi Hazrat Aadam Alaihissalam hain.
✺ [Musnad Ahmad: 21552]
*❧ Sawaal :​* Sab se aakhri Nabi kaun hain?
*❧ Jawaab :​* Sab se aakhri Nabi Hazrat Muhammad ﷺ hain.
✺ [Sura-e-Ahzaab: 40]
*❧ Sawaal :​* Kya hamaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ ke baad qayaamat tak koi naya Nabi aayega?
*❧ Jawaab :​* Hamaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ ke baad qayaamat tak koi naya Nabi nahin aayega.
✺ [Bukhaari: 3455]
✺ Ref: Deeniyat Course book
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Tuesday, August 26, 2025

Aqaaid (Part-62)

*​✾ Sawaal Jawaab ✾*

*❧ Sawaal :​* Kya Rasool kabhi jhoot bolte hain?

*❧ Jawaab :​* Nahin, Rasool kabhi jhoot nahin bolte.

✺ [Sura-e-Najm: 3-4]

*❧ Sawaal :​* Kya Rasool kabhi gunaah karte hain?

*❧ Jawaab :​* Nahin, Rasool gunaahon se paak hote hain.

✺ [Mirqaatul Mafaateeh: 1/300]

*❧ Sawaal :​* Kya Rasool kabhi kisi paigaam ko chhupaate hain?

*❧ Jawaab :​* Nahin, woh Allah ka har paigaam bandon tak pahonchaate hain.

✺ [Sura-e-Ahzaab : 39]

*❧ Sawaal :​* "Rasool" aur "Nabi" kitne hain?

*❧ Jawaab :​* Rasool aur Nabi ki thheek thheek ta'adaad sirf Allah Ta'ala hi jaanta hai.

✺ [Sharahut Tahaawiya Li Sadruddin: 2/234]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Monday, August 25, 2025

Aqaaid (Part-61)

*​✾ Sawaal Jawaab ✾*

*❧ Sawaal :​* "Rasool" kise kehte hain?

*❧ Jawaab :​* Allah Ta'ala ke bheje huwe paigambar ko Rasool kehte hain.

✺ [Sharahul Aqeedah At Tahaawiya: 1/1656]

*❧ Sawaal :​* Allah Ta'ala ne Rasool kyun bheje?

*❧ Jawaab :​* Allah Ta'ala ne insaanon ko seedha raasta dikhaane ke liye Rasool bheje.

✺ [Sura-e-Talaaq: 11]

*❧ Sawaal :​* Rasool kaun hote hain?

*❧ Jawaab :​* Rasool, Allah ke bande aur sab se achche insaan hote hain.

✺ [Sura-e-Ibrahim: 11-12]

*❧ Sawaal :​* Rasool hamein kin baaton ki taaleem dete hain?

*❧ Jawaab :​* Rasool hamein achchhi achchhi baaton ki taaleem dete hain.

✺ [Sura-e-Aale Imraan: 164]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Sunday, August 24, 2025

Aqaaid (Part-60)

*​✾ Sawaal Jawaab ✾*

*❧ Sawaal :​* Qur'aan-e-Majeed ki hifaazat ki zimmedaari kis ne li hai?

*❧ Jawaab :​* Quraan-e-Majeed ki hifaazat ki zimmedaari Allah Ta'ala ne le rakhi hai.

✺ [Sura-e-Hijr: 9]

*❧ Sawaal :​* Aasmaani kitaabon mein sab se afzal kitaab kaun si hai?

*❧ Jawaab :​* Aasmaani kitaabon mein sab se afzal kitaab Qur'aan-e-Majeed hai.

✺ [Tafseer-e-Sa'adi: 1/234]

*❧ Sawaal :​* Ab qayaamat tak kis kitaab par amal karna zaroori hai?

*❧ Jawaab :​* Ab qayaamat tak sirf Qur'aan-e-Majeed par amal karna zaroori hai.

✺ [Sahih Muslim: 6378]

*❧ Sawaal :​* Allah Ta'ala ki kitaabon aur saheefon ke baare mein kya Imaan rakhna chaahiye?

*❧ Jawaab :​* Allah Ta'ala ki kitaabon aur saheefon ke baare mein yeh Imaan rakhna chaahiye ke tamaam kitaabein aur saheefe Allah Ta'ala ki taraf se naazil huwe hain.

✺ [Sura-e-Baqara: 4]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Saturday, August 23, 2025

Aqaaid (Part-59)

*​✾ Sawaal Jawaab ✾*

*❧ Sawaal :​* "Qur'aan-e-Majeed" kis Nabi par naazil huwa?

*❧ Jawaab :​* Qur'aan-e-Majeed hamaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ par naazil huwa.

✺ [Sura-e-Dahal: 23]

*❧ Sawaal :​* "Saheefe" kin paigambaron par naazil huwe?

*❧ Jawaab :​* Saheefe Hazrat Shees Alaihissalam, Hazrat Idrees Alaihissalam, Hazrat Ibrahim Alaihissalam aur un ke alaawa doosre paigambaron par naazil huwe.

✺ [Saheeh Ibn-e-Hibbaan: 361]

*❧ Sawaal :​* Sab se aakhir mein kaunsi kitaab naazil hui?

*❧ Jawaab :​* Sab se aakhir mein Qur'aan-e-Majeed naazil huwa.

✺ [Tafseer Bahrul Uloom: 1/586]

*❧ Sawaal :​* Kya Quraan-e-Majeed mein koi tabdeeli ho sakti hai?

*❧ Jawaab :​* Qur'aan-e-Majeed mein koi tabdeeli nahin ho sakti.

✺ [Sura-e-An'aam: 115]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Friday, August 22, 2025

Aqaaid (Part-58)

*​✾ Sawaal Jawaab ✾*

*❧ Sawaal :​* Chaar Mashhoor "Aasmaani Kitaabein" kaun kaun si hain?

*❧ Jawaab :​* Taurait, Zaboor, Injeel aur Qur'aan-e-Majeed.

✺ [Saheeh Ibn-e-Hibbaan: 361]

*❧ Sawaal :​* "Taurait" kis Nabi par naazil hui?

*❧ Jawaab :​* Taurait Hazrat Moosa Alaihissalam par naazil hui.

✺ [Sahih Muslim: 4536]

*❧ Sawaal :​* "Zaboor" kis Nabi par naazil hui?

*❧ Jawaab :​* Zaboor Hazrat Dawood Alaihissalam par naazil hui.

✺ [Sura-e-Nisa: 163]

*❧ Sawaal :​* "Injeel" kis Nabi par naazil hui?

*❧ Jawaab :​* Injeel Hazrat Isa Alaihissalam par naazil hui.

✺ [Sura-e-Hadeed: 27]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Thursday, August 21, 2025

Aqaaid (Part-57)

*​✾ Sawaal Jawaab ✾*

*❧ Sawaal :​* Qabr mein sawaal karne waale farishton ko kya kehte hain?

*❧ Jawaab :​* Qabr mein sawaal karne waale farishton ko "Munkar Nakeer" kehte hain.

✺ [Tirmizi: 1071]

*✾ Aasmaani Kitaaein ✾*

*❧ Sawaal :​* Allah Ta'ala ne kitaabein kyun naazil farmaeein?

*❧ Jawaab :​* Allah Ta'ala ne insaanon ki hidaayat ke liye kitaabein naazil farmaeein.

✺ [Sura-e-Aal-e-Imraan: 3,4]

*❧ Sawaal :​* Allah Ta'ala ki kitaabein kitni hain?

*❧ Jawaab :​* Chhoti badi bahot saari kitaabein hain.

✺ [Saheeh Ibn-e-Hibbaan: 361]

*❧ Sawaal :​* Allah Ta'ala ki chhoti aur badi kitaabon ko kya kehte hain?

*❧ Jawaab :​* Chhoti kitaab ko "Saheefa" aur badi kitaab ko "Kitaab" kehte hain.

✺ [Roohul Ma'aani : 30/111]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Wednesday, August 20, 2025

Aqaaid (Part-56)

*​✾ Sawaal Jawaab ✾*

*❧ Sawaal :​* Hazrat Israafeel Alaihissalam ka kya kaam hai?

*❧ Jawaab :​* Hazrat Israafeel Alaihissalam Qayaamat ke din soor phoonkeinge.

✺ [Sho'abul Imaan: 353]

*❧ Sawaal :​* Hazrat Izraaeel Alaihissalam ka kya kaam hai?

*❧ Jawaab :​* Hazrat Izraaeel Alaihissalam ka kaam makhlooq ki jaan nikaalna hai, jinhein "Malakul Maut" bhi kehte hain.

✺ [Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah: 34969]

*❧ Sawaal :​* Aamal likhne waale farishton ko kya kehte hain?

*❧ Jawaab :​* Aamal likhne waale farishton ko "Kiraaman Kaatibeen" kehte hain.

✺ [Sura-e-Infitaar: 11]

*❧ Sawaal :​* Aafaton aur balaaon se insaan ki hifaazat karne waale farishton ko kya kehte hain?

*❧ Jawaab :​* Aafaton aur balaaon se insaan ki hifaazat karne waale farishton ko "Hafazah" kehte hain.

✺ [Sura-e-An'aam: 61]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Tuesday, August 19, 2025

Aqaaid (Part-55)

*​✾ Sawaal Jawaab ✾*

*❧ Sawaal :​* Farishte kitne hain?

*❧ Jawaab :​* Farishte beshumaar hain, un ki ta'adaad Allah Ta'ala ke alaawa koi nahin jaanta.

✺ [Sura-e-Muddassir: 31]

*❧ Sawaal :​* Chaar mashhoor farishte kaun kaun se hain?

*❧ Jawaab :​* Hazrat Jibraeel Alaihissalam, Hazrat Meekaail Alaihissalam, Hazrat Israafeel Alaihissalam, Hazrat Izraaeel Alaihissalam

✺ [Umdatul Qaari: 22/458]

*❧ Sawaal :​* Hazrat Jibraeel Alaihissalam ka kya kaam hai?

*❧ Jawaab :​* Hazrat Jibraeel Alaihissalam Allah ki kitaabein aur paigaamaat Rasoolon tak pahonchaate the.

✺ [Sharhul Arba'een Navaviyyah Li'atiyah: 6/3]

*❧ Sawaal :​* Hazrat Meekaail Alaihissalam ka kya kaam hai?

*❧ Jawaab :​* Hazrat Meekaail Alaihissalam ke zimme baarish barsaane aur makhlooq ko rozi pahonchaane ka kaam hai.

✺ [Sho'abul Imaan: 158]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Monday, August 18, 2025

Aqaaid (Part-54)

*​✾ Sawaal Jawaab ✾*

*❧ Sawaal :​* Farishte kaun hain?

*❧ Jawaab :​* Farishte Allah Ta'ala ki Nooraani makhlooq hain, jinhein "Malaaika" bhi kehte hain.

✺ [Sahih Muslim: 7687]

*❧ Sawaal :​* Kya Farishte khaane peene ke mohtaaj hain?

*❧ Jawaab :​* Nahin ! Farishte khaane peene ke mohtaaj nahin hain.

✺ [Fathul Baari: 9/492]

*❧ Sawaal :​* Kya Farishte Allah Ta'ala ki na farmaani karte hain?

*❧ Jawaab :​* Nahin ! Farishte Allah Ta'ala ki na farmaani nahin karte.

✺ [Sura-e-Tahreem: 6]

*❧ Sawaal :​* Allah Ta'ala ne farishton ko kya taaqat de rakhi hai?

*❧ Jawaab :​* Allah Ta'ala ne farishton ko mushkil kaamon ke karne ki taaqat de rakhi hai.

✺ [Sura-e-Faatir: 1]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Sunday, August 17, 2025

Aqaaid (Part-53)

✾ Sawaal Jawaab ✾

✺ Sawaal :​Kya Allah Ta'ala ka koi shareek hai?

✺ Jawaab :​ Allah Ta'ala ka koi shareek nahin.

✺ [Sura-e-An'aam: 163]

✺ Sawaal :​ Hamein, hamaare maan baap aur poori duniya ko rozi kaun deta hai?

✺ Jawaab :​ Hamein, hamaare maan baap aur poori duniya ko rozi Allah Ta'ala deta hai.

✺ [Sura-e-Zaariyaat: 58]

❧ Sawaal :​ Zindagi, maut, izzat aur zillat kaun deta hai?

❧ Jawaab :​ Zindagi, maut, izzat aur zillat Allah Ta'ala deta hai.

✺ [Sura-e-Mulk: 2, Sura-e-Aal-e-Imraan: 26]

✺ Sawaal :​ Kya Allah Ta'ala har cheez dekhta hai aur har baat sunta hai?

✺ Jawaab :​ Ji haan ! Allah Ta'ala har cheez dekhta hai aur har baat sunta hai.

✺ [Sura-e-Asra: 1]

✺ Sawaal :​ Hamein kis ki ibaadat karni chaahiye?

✺ Jawaab :​ Hamein sirf Allah Ta'ala ki ibaadat karni chaahiye.

✺ [Sura-e-Hood: 26]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Saturday, August 16, 2025

Aqaaid (Part-52)

*​✾ Sawaal Jawaab ✾*

*❧ Sawaal :​* Kya Allah Ta'ala ke beewi bachche hain?

*❧ Jawaab :​* Nahin ! Allah Ta'ala ke beewi bachche nahin hain.

✺ [Sura-e-An'aam: 101]

*❧ Sawaal :​* Kya Allah Ta'ala ki kisi se rishtedaari hai?

*❧ Jawaab :​* Nahin ! Woh tamaam rishton se paak hai.

✺ [Sura-e-Ikhlaas: 3]

*❧ Sawaal :​* Kya makhlooq ki tarah Allah Ta'ala ki shakl-o-soorat hai?

*❧ Jawaab :​* Nahin ! Allah Ta'ala shakl-o-soorat se paak hai.

✺ [Sura-e-Shoora: 11]

*❧ Sawaal :​* Kya Allah Ta'ala khaata, peeta aur sota hai?

*❧ Jawaab :​* Allah Ta'ala ko khaane peene aur sone ki zaroorat nahin.

✺ [Sura-e-An'aam: 14, Sura-e-Baqarah: 255]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Friday, August 15, 2025

Aqaaid (Part-51)

​✾ Sawaal Jawaab ✾

*❧ Sawaal:​* Aasmaan, zameen, chaand, sooraj, oonche oonche pahaad aur bade bade darya kis ne banaaye?

*❧ Jawaab:​* Aasmaan, zameen, chaand, sooraj, oonche oonche pahaad aur bade bade darya Allah Ta'ala hi ne banaaye.

✺ [Sura-e-Ankaboot: 61, Sura-e-Qaaf: 38]

*❧ Sawaal:​* Kya Allah Ta'ala ko kisi ne paida kiya?

*❧ Jawaab:​* Nahin ! Allah Ta'ala ko kisi ne paida nahin kiya.

✺ [Sura-e-Ikhlaas: 3]

*❧ Sawaal:​* Allah Ta'ala kab se hai aur kab tak rahega?

*❧ Jawaab:​* Allah Ta'ala hamesha se hai aur hamesha rahega.

✺ [Sura-e-Rahmaan: 27]

*❧ Sawaal:​* Kya Allah Ta'ala ke maan baap hain?

*❧ Jawaab:​* Nahin ! Allah Ta'ala ke maan baap nahin hain.

✺ [Sura-e-Ikhlaas: 3]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Thursday, August 14, 2025

Aqaaid (Part-50)

✾ Sawaal Jawaab ✾

❧ Sawaal:​ Hamaara Rab kaun hai?

❧ Jawaab:​ Hamaara Rab Allah hai.

✺ [Sura-e-Ha Meem Sajda: 30]

❧ Sawaal: Hamein kis ne paida kiya?

❧ Jawaab:​ Hamein Allah Ta'ala ne paida kiya.

✺ [Sura-e-Teen: 4]

❧ Sawaal:​ Kya poori duniya ke logon ko tanha Allah hi ne paida kiya?

❧ Jawaab: Ji haan ! Poori duniya ke logon ko tanha Allah hi ne paida kiya.

✺ [Sure-e-Sajda: 4]

❧ Sawaal:​ Kya yeh duniya khud bakhud ban gayi?

❧ Jawaab:​ Nahin ; is duniya ko Allah Ta'ala ne banaaya.

✺ [Sura-e-Sajda: 4]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Wednesday, August 13, 2025

Aqaaid (Part-49)

*​✾ ​Jahannam ✾*

❧ Jahannam mein sab se kam darje ka azaab yeh hoga ke jahannami ko aag ki jootiyaan ya aag ke 2 tasme pehnaaye jaayeinge, jis ki wajah se us ka dimaag haandi ki tarah ublega, woh samjhega ke sab se ziyaada azaab usi ko ho raha hai, jis jahannami ke dil mein zarra baraabar imaan hoga woh apne gunaah ke baqadr azaab chakh kar ya Huzoor ﷺ ki shafa'at se Jahannam se chhutkaara paalega.

✺ [Bukhaari: 6562 ; Bukhaari: 7510]

❧ Jahannam mein bhi alag alag darje hain, un mein mukhtalif qism ka azaab hoga, mujrim log apne apne gunaahon ke mawaafiq un mein daakhil kiye jaayeinge, jo bhi Jahannam mein daakhil hoga woh mahaz Allah Ta'ala ke Adl-o-Insaaf se daakhil hoga kisi par zarra baraabar zulm na kiya jaayega.

❧ Ham musalmaanon ka aqeeda hai ke Jahannam abhi maujood hai aur hamesha ke liye rahegi, us ke mutaalliq Qur'aan-o-Hadees mein bataai hui tamaam baatein sachchi hain.

✺ [Umdatul Qaari: 27/135: Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Ibne Abil Iz: 1/420]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Tuesday, August 12, 2025

Aqaaid (Part-48)

*​✾ ​Jahannam ✾*

❧ Jahannam nihaayat hi takleef ki jagah hai, woh kaafiron aur mushrikon ke liye tayyaar ki gai hai, us mein har tarah ke azaab honge, aag ke makaan aur bistar honge, aag ki hathkadiyaan aur zanjeerein hongi, bade bade saanp aur bichchhu honge, jo jahannamiyon ko daste raheinge, khaane ke liye zaqqoom (Jahannam ka ek kaantedaar darakht) hoga, peene ke liye peep aur khaulta huwa pani hoga, jo aanton ko tukde tukde kar dega, Jahannam ki dahekti hui aag hogi, jo un ko jalaati rahegi, aag se itne bade bade shole utheinge, jo aalishaan mahal ke baraabar honge, jab bhi jahannamiyon ke badan ki khaal jal kar raakh hojaayegi, to us ki jagah doosri khaal badal di jaayegi, har ghadi Allah Ta'ala ka azaab un ke liye sakht hota jaayega, azaab ka ek lamha umr bhar ke aish wa raahat ko bhulaadega, na un ka azaab halka hoga aur na un ko koi mohlat di jaayegi, woh maut maangeinge to un ko maut na aayegi, hamesha hamesh ke liye woh dozakh mein raheinge.

❧ Qur'aan mein Allah Ta'ala farmaate hain: Aur jin logon ne kufr ki rawish apnaali hai, un ke liye dozakh ki aag hai, na to un ka kaam tamaam kiya jaayega ke woh mar hi jaaein aur na un se dozakh ka azaab halka kiya jaayega. Har naashukre kaafir ko ham aisi hi saza dete hain. [Sura-e-Faatir: 36]

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: Email | Telegram | WhatsApp