*✾ Sawaal Jawaab ✾*
*❧ Sawaal :* Kya Jannatiyon ko Jannat mein kabhi maut aayegi?
*❧ Jawaab :* Nahin ! Balke Jannati Jannat mein hamesha hamesh raheinge.
✺ [Tirmizi: 2557]
*❧ Sawaal :* Jahannam kaisi jagah hai?
*❧ Jawaab :* Jahannam nihaayat hi takleef ki jagah hai.
✺ [Sura-e-Naba: 21-25]
*❧ Sawaal :* Jahannam kis ke liye tayyaar ki gayi hai?
*❧ Jawaab :* Jahannam kaafiron aur mushrikon ke liye tayyaar ki gayi hai.
✺ [Sura-e-Aal-e-Imraan: 131, Sura-e-Baiyyinah: 6]
*❧ Sawaal :* Jahannam mein kya kya hoga?
*❧ Jawaab :* Jahannam mein bade bade saanp aur bichchhu honge, peene ke liye khaulta huwa paani aur peep aur khaane ke liye kaantedaar darakht honge.
✺ [Musnad-e-Ahmad: 17712, Sura-e-Saad: 57]
*[[..Alhamdulillah Mukammal..]]*
✺ Ref: Deeniyat Course book