Monday, June 30, 2025

Aqaaid (Part-5)

Kalima-e-Tamjeed ​✾

سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَقُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ ‏الْعَلِىّ الْعَظِيْم

Subhaanallaahi walhamdu lillaahi walaa ilaaha illallaahu wallaahu akbar walaa haula walaa quwwata illaabillaahil aliyyil'azeem

✺ Tarjama: Allah har aib se paak hai aur tamaam ta'areefein Allah ke liye hain aur Allah ke siwa koi ma'abood nahin aur Allah sab se bada hai, gunaahon se bachne ki taaqat aur nek kaam karne ki quwwat Allah hi ki taraf se hai, jo bahot buland azmat waala hai. (Abu Daawood: 832)

Kalima-e-Tauheed

لَآ إِِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ وَحْدَهُ لا شَرِيْكَ لَهْ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ يُحْى وَ يُمِيْتُ بِيَدِهِ الْخَيْرُ وَهُوَ عَلى كُلِّ شَيءٍ قَدِيْرٌ

Laa ilaaha illallaahu wahdahoo laa shareeka lahoo, lahul mulku walahul hamdu yuhyee wayumeetu biyadihil khair wahuwa 'alaa kulli shai-in qadeer.

✺ Tarjama: Allah ke siwa koi ma'abood nahin, woh akela hai, us ka koi shareek nahin, usi ke liye baadshaahat hai aur usi ke liye tamaam ta'areefein hain, wahi zinda karta hai aur wahi maut deta hai, usi ke qabze mein tamaam bhalaai hai aur woh har cheez par qaadir hai. (Musnad-e-Ahmad: 26551)

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Sunday, June 29, 2025

Aqaaid (Part-4)

Kalima-e-Taiyyibah ​✾ 

لَآ اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ مُحَمَّدٌ رَّسُوْلُ اللّٰهِ

La ilaaha illallaahu Muhammadur rasoolullaah.

✺ Tarjama: Allah ke siwa koi ma'abood nahin, (Hazrat) Muhammad (ﷺ) Allah ke Rasool hain.

✺ [Tabraani Sageer: 992]

Kalima-e-Shahaadat

اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُهٗ

Ash-hadu allaa ilaaha illallaahu wa ashhadu anna Muhammadan 'abduhoo wa rasooluh.

✺ Tarjama: Main gawaahi deta hoon ke Allah ke siwa koi ma'abood nahin aur main gawaahi deta hoon ke (Hazrat) Muhammad (ﷺ) Allah ke bande aur us ke Rasool hain.

✺ (Mustadrak : 9)

✺ Ref: Deeniyat Course book
❥❥ Share this on:

Saturday, June 28, 2025

Aqaaid (Part-3)

✺ Maslan agar koi aadmi Allah ko na maane, us ke saath kufr wa shirk kare, ya Huzoor ﷺ ko aakhri Nabi aur Rasool tasleem na kare aur Aap ﷺ ke baad kisi bhi tarah se Nabi ke aane ka aqeeda rakhe, to phir woh shakhs chaahe jitna achchha kaam kare, Allah Ta'ala ke yahaan badle ka mustahiq nahin hoga aur use koi sawaab nahin milega.

✺ Is liye hamein aqaaid par poori mazbooti ke saath jame rehne aur un ko apne dil mein bithha lene ki zaroorat hai, taake hamaara Imaan durust rahe, Allah ke nazdeek hamaara amal qubool ho aur phir hamein us ka behtareen badla naseeb ho.

✺ Aqaaid mein Islaam ke paanch kalime, Imaan-e-Mujmal aur Imaan-e-Mufassal tarjame ke saath diye gaye hain aur Imaan-e-Mufassal mein zikr kiye gaye 7 bunyaadi aqaaid (Tauheed, Farishte, Aasmaani Kitaabein, Ambiya, Aakhirat, Taqdeer aur Ba'as Ba'adal Maut) ko mazmoon ki shakl mein diya gaya hai. Pehle donon kalime aur Imaan-e-Mujmal wa Mufassal tarjame ke saath yaad karaayein, baaqi kalimon ke tarjame achchhi tarah samjha kar zahen mein bithha dein. Padhaate waqt is baat ko bhi waazeh kiya jaaye ke in kalimon aur asbaaq mein maujood tamaam cheezon par dil se yaqeen rakhna zaroori hai.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

Friday, June 27, 2025

Aqaaid (Part-2)

✺ Qur'aan wa Hadees mein bhi aqaaid ke mutaalliq baatein intehaai wazaahat ke saath aur bade muassir andaaz mein bayaan ki gai hain, jaise Allah ki wahdaaniyat aur us ki zaat wa sifaat par Imaan laana, aasmaani kitaabon aur Rasoolon ke barhaq hone ka yaqeen rakhna, Aap ﷺ ke aakhri Nabi hone aur Qur'aan ke aakhri aasmaani kitaab hone ka aqeeda rakhna aur farishton aur aakhirat ke din par Imaan laana wagaira.

✺ Ek jagah Allah Ta'ala ne irshaad farmaaya: Aye Imaan waalo! Allah par Imaan rakho, aur us ke Rasoolon par aur us kitaab par jo Allah ne apne Rasool par utaari hai aur har us kitaab par jo us ne pehle utaari thi. Aur jo shakhs Allah ka, us ke farishton ka, us ki kitaabon ka, us ke Rasoolon ka aur Yaum-e-Aakhirat ka inkaar kare, to woh bhatak kar gumraahi mein bahot door ja pada. (Sura-e-Nisa: 136)

✺ Aqeeda ek aisi bunyaadi cheez hai, jis mein zarra baraabar bhi kami wa ziyaadati ki gunjaaish nahin, thoda sa tazalzul bhi bade khasaare aur nuqsaan ka baais hota hai. Aqaaid ka aamaal se bhi bahot gehra ta'alluq hai, bade se bada amal bhi Allah ke yahaan aqaaid ki durustagi ke bagair qubool nahin hota.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

Thursday, June 26, 2025

Aqaaid (Part-1)

Aqaaid: Aadmi jin Deeni baaton par dil se yaqeen rakhta hai, un ko "Aqaaid" kehte hain.

Hadees: Hazrat Umar Raziy Allahu Anhu bayaan karte hain ke ham Rasoolullah ﷺ ki khidmat mein haazir the, ek shakhs ne aa kar Aap ﷺ se daryaaft kiya ke mujhe bataaiye Imaan kya hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Imaan yeh hai ke tum Allah ko, us ke farishton ko, us ki kitaabon ko, us ke Rasoolon ko aur Qayaamat ke din ko haq jaano, haq maano aur har achchhi buri tqdeer ko bhi haq jaano, haq maano. (Sahih Muslim: 102)

✺ Islaam mein aqaaid ki bahot ziyaada ahmiyat hai, balke Deen ki bunyaad hi aqaaid par rakhi gai hai, yahi wajah hai ke jab bhi kisi qaum ke aqaaid mein fasaad aur bigaad paida huwa, to un ki islaah ke liye Allah Ta'ala ne Nabi aur Rasool ko mab'oos farmaaya, saare paigambaron ne apni qaum ko aqaaid durust karne aur sahi aqeeda par mazbooti ke saath jame rehne ki daawat di.

✺ Ref: Deeniyat Course book

Share on: