Thursday, July 31, 2025

Aqaaid (Part-36)

​✾ ​Alaamaate Sugra

✺ Huzoor ﷺ ki paidaaish se lekar Hazrat Mehdi RaziyAllahu anhu ke zaahir hone tak jo bhi alaamatein aur nishaaniyaan zaahir hongi, un ko "Alaamaate Sugra" kehte hain.

✺ [Ashraatus Saa'ah Li Abdillah Bin Sulaimaan: 1/49; Al Imaan Haqeeqatuhu, Khawaarimuhu, Nawaaqizuhu Inda Ahlis Sunnati Wal Jama'ah: 1/83]

✺ Alaamaate Sugra yeh hain:

(1) Ilm ka uthh jaana aur jihaalat ka badh jaana.
(2) Zina kaari, sharaab khori aur qatl wa gaaratgiri ka aam hona.
(3) Aurton ka ziyaada hona aur mardon ka kam hona.
(4) Zalzalon ka aana.
(5) Logon ka oonchi oonchi imaaratein banaana.
(6) Amal mein kotaahi aur dil mein laalach ka badh jaana.
(7) Gaane bajaane ke saamaan aur gaane waali aurton ka aam hojaana.
(8) Maan ki naafarmaani karna aur biwi ki ita'at karna.
(9) Doston ko qareeb bithhaana aur baap ko door karna.
(10) Bad akhlaaq, Harees aur na ahel logon ko bade bade ohde milna aur khauf ki wajah se aise logo ki taazeem kiya jaana.
(11) Ummat ke pichhle logon ka aglon par la'an ta'an karna.
(12) Zakaat ko taawaan (bojh) samajhna.
(13) Masjidon mein duniya ki baaton ka shor hona.

✺ [Bukhaari: 5231; Bukhaari: 7121; Tirmizi: 2210]

✺ Ref: Deeniyat Course book
❥Share on:

Wednesday, July 30, 2025

Aqaaid (Part-35)

✾ ​Alaamaate Qayaamat ✾

✺ Qayaamat kab qaaim hogi? Is ka ilm Allah Ta'ala ke alaawa kisi ko nahin hai, albatta Allah Ta'ala ne Huzoor ﷺ ko wahi ke zariye qayaamat ki bahot si alaamatein batlaai hain, jo qayaamat qaaim hone se pehle duniya mein paai jaaein gi.

✺ [Ashraatus Saa'ah Li Abdillah Bin Sulaimaan: 1/43-45]

✺ Qayaamat ki alaamatein 2 tarah ki hain:

1) Alaamaate Sugra (Chhoti Alaamaatein)

2) Alaamaate Kubra (Badi Alaamaatein)

✺ [Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/691; Ashraatus Saa'ah Li Abdillah Bin Sulaimaan: 1/48]

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥Share on:
Email | Telegram | WhatsApp

Tuesday, July 29, 2025

Aqaaid (Part-34)

✾ ​Kuffaar ke Mazhabi tehwaaron mein shirkat

✺ Kuffaar ke mazhabi tehwaar mushrikaana aqeedon se bhare hote hain jaise Ganesh Chaturthi, Dasehra, Murti Pooja, Holi, Diwali aur Christmas wagaira in mein shirkat karna haraam hai, kuffaar ke mazhabi tehwaaron mein shareek hone ki chand soortein yeh hain:

(1) In tehwaaron ka manaana.
(2) Tehwaar manaane mein un ke saath shareek hona.
(3) Mazhabi tehwaaron mein un ki madad karna.
(4) Mazhabi tehwaaron mein tohfa ya Chanda wagaira dena.
(5) Mazhabi tehwaaron ki khushi mein apne ghar ke liye cheezein khareedna aur khaane pakaane ka ehtemaam karna.
(6) Mazhabi juloos mein shareek hona.

✺ Agar koi musalmaan in mein se kisi bhi baat ko achchha jaan kar karega, to us ka imaan jaata rahega aur agar gunah jaan kar karega, to sakht gunahgaar hoga.

✺ Ham tamaam musalmaan kuffaar ke mazhabi tehwaaron ko na manaate hain aur na un mein shareek hote hain. (Sunane Kubra Baihaqi: 19333 ; Al-Bahrur Raaiq: 5/133 ; Al-Irshaad Ila Saheehil Eteqaad: 1/290)

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥Share on:
Email | Telegram | WhatsApp

Monday, July 28, 2025

Aqaaid (Part-33)

​✾ ​Kufr wa Shirk ✾

❧ Allah Ta'ala ki sifaat mein shirk:

❧ Allah Ta'ala ki sifaat mein shirk ka matlab yeh hai ke jo sifaat Allah Ta'ala ke saath khaas hain, un ko kisi doosre ke liye maanna jaise Allah Ta'ala ke alaawa kisi ko rozi dene waala aur aulaad dene waala samajhna, kisi Nabi aur wali ke baare mein yeh aqeeda rakhna ke un ko khuda ki tarah gaib ki tamaam baaton ka ilm hai, Allah Ta'ala ki tarah kisi doosre ko ibaadat ka mustahiq samajhna aur us ke liye ibaadat ka koi fel karna jaise kisi qabr par ya kisi buzurg ke saamne sajda karna, kisi paigambar aur wali ke naam ka roza rakhna aur un ke naam par jaanwar zabah karna wagaira wagaira.

❧ Gunaahon mein kufr-o-shirk sab se bade gunah hain, kufr-o-shirk toba ke bagair hargiz maaf nahin hote, kufr-o-shirk ki haalat mein marne waala hamesha Jahannam mein rahega.

❧ Qur'aan Majeed mein Allah Ta'ala ne shirk ke baare mein farmaaya: "Beshak Allah Ta'ala shirk ko maaf nahin karega aur is ke alaawa jis gunah ko jis ke liye chaahega maaf kardega." (Sura-e-Nisa: 116)

❧ Aur kufr ke baare mein farmaaya: "Jin logon ne kufr kiya aur hamaari aayaton ko jhutlaaya, wahi log Jahannam waale hain, woh us mein hamesha hamesha raheinge." (Sura-e-Baqrah: 39)

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥Share on:
Email | Telegram | WhatsApp

Sunday, July 27, 2025

Aqaaid (Part-32)

✾ ​Kufr wa Shirk ✾

​❧ Shirk: Shirk ke maani hain shareek karna, Allah ki zaat wa sifaat mein kisi ko shareek karna "Shirk" hai.

​❧ Allah Ta'ala ki zaat mein Shirk: Allah Ta'ala ki zaat mein shirk ka matlab yeh hai ke Allah Ta'ala ke alaawa kisi aur ko bhi khuda maanna jaise Isaai Allah Ta'ala ko khuda maanne ke saath saath hazrat Isa Alaihissalam ko khuda ka beta aur Hazrat Maryam Alaihassalam ko khuda ki biwi maante hain, to woh 3 khuda maanne ki wajah se mushrik huwe,

❧ Aatish parast (aag ki pooja karne waale) 2 khuda maante hain: Ek bhalaai ka paida karne waala, doosra buraai ka paida karne waala, jis ki wajah se woh mushrik huwe

❧ Aur but parast chaand, sooraj, aag, paani, darakht, patthar jaisi bahot si cheezon ko khuda maan kar mushrik huwe.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥Share on:
Email | Telegram | WhatsApp

Saturday, July 26, 2025

Aqaaid (Part-31)

✾ ​Kufr wa Shirk ✾

✺ Kufr: Kufr ke maani hai na maanna, Islaam mein jin cheezon par imaan laana zaroori hai, in mein se kisi ek ko bhi na maanna "Kufr" hai. (Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Abdullah Bin Abdir Rahman; 38/16)

✺ Jaise koi shakhs Allah Ta'ala ki zaat ko na maane ya us ki sifaat mein se kisi sifat ka inkaar kare, ya farishton ka inkaar kare ya pichhle ambiya Alaihissalam par naazil hone waali kitaabon ke baare mein yeh aqeeda rakhe ke woh Allah Ta'ala ki kitaabein nahin theen ya Qur'aan Majeed ke kisi mazmoon ka inkaar kare ya kisi Nabi ko na maane ya paigambaron ko jhoota kahe aur un ki taraf buri baaton ko mansoob kare ya taqdeer ka inkaar kare ya aakhirat ke din, qayaamat aur Hashr-o-Nashr ka inkaar kare maslan yoon kahe ke marne ke baad dobaara zinda nahin kiya jaayega ya Allah Ta'ala ko aasmaan wa zameen ke fana karne ki qudrat nahin hai ya hisaab na hoga ya Jannat wa Jahannam ka zikr sirf logon ko khush karne aur daraane ke liye kiya gaya hai, warna haqeeqat kuchh nahin hai ya Qur'aane Kareem ke qat'ee ahkaam mein se kisi hukm ka inkaar kare maslan namaaz, rozah ya zakaat wagaira ka inkaar kare ya Rasoolullah ﷺ ki bataai hui kisi baat ko jhutlaaye, to tamaam soorton mein woh kaafir ho jaayega.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥Share on:
Email | Telegram | WhatsApp

Friday, July 25, 2025

Aqaaid (Part-30)

✾ ​Karaamat ✾

✺ Karaamat ke baare mein chand zaroori aqaaid:

3) Wali chaahe khuda ka kitna hi pyaara ho jaaye magar jab tak hosh-o-hawaas baaqi ho, woh shareeat ka paaband hai, namaaz, rozah aur koi ibaadat us se maaf nahin ho jaati aur gunah ki baatein us ke liye durust nahin hoteen. (Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Abdullah: 49/10)

4) Aisa shakhs jo shareeat ke khilaaf kaam kare jaise namaaz na padhe ya daadhi mundaaye wagaira woh hargiz wali nahin ho sakta, chaahe us se kitni hi baatein aadat ke khilaaf zaahir hoti hon, chaahe woh hawa mein udne lage, paani par chalne lage aur tarah tarah ke ajeeb kaam kare, aadat ke khilaaf aisi baatein ya to jaadu hai ya shaitaani harkatein. (Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/673)

✺ Ham musalmaanon ka aqeeda hai ke Auliya Allah se karaamaton ka zaahir hona haq hai aur us par hamaara imaan hai.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥Share on:
Email | Telegram | WhatsApp

Thursday, July 24, 2025

Aqaaid (Part-29)

✺ ​Karaamat ✺

✺ Allah Ta'ala apne nek bandon ki izzat badhaane ke liye kabhi kabhi un ke zariye aisi baatein zaahir karaadeta hai jo aadat ke khilaaf aur mushkil hoti hain, jinhein aam log nahin kar sakte, jaise paani par chalna, hawa mein udna wagaira in baaton ko "Karaamat" kehte hain. (Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/670)

✺ Karaamat ke baare mein chand zaroori aqaaid: ✺

1) Nek bandon aur Auliya Allah se karaamaton ka zaahir hona haq hai. (Sharhul Aqeedatut Tahaawiyah Abdullah: 92/1)

2) Wali se karaamat ka zahoor Allah ke ahkaam ki mukammal paabandi aur Huzoor ﷺ ki kaamil ittiba aur pairwi ki barkat se hota hai. (Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/673)

❥Share on:
Email | Telegram | WhatsApp

Wednesday, July 23, 2025

Aqaaid (Part-28)

​✺ Mo'ajizah ✺

​✺ Huzoor ﷺ ko bhi beshumaar mo'ajizaat ata kiye gaye, jin mein se do mo'ajize maaroof wa mash-hoor hain:

(1) Meraaj: Allah Ta'ala ke hukm se Huzoor ﷺ raat ko bedaari ki haalat mein Hazrat Jibraeel Alaihissalam ke saath Makkah Muazzamah se Baitul Muqaddas gaye aur phir wahaan se saaton aasmaanon par aur jahaan tak Allah Ta'ala ko manzoor tha wahaan tak tashreef le gaye, usi raat mein Jannat aur Dozakh ki sair ki aur phir apne maqaam par waapas aagaye, isi ko "Me'araaj" kehte hain. (Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Ibne Abil Iz: 1/223; Sahih Muslim: 429)

(2) Shaqqe Qamar: Ek raat kuffaare Makkah ne Huzoor Akram ﷺ se kaha ke hamein koi Mo'ajizah dikhaaiye to Huzoor ﷺ ne ungli se chaand ki taraf ishaara kiya, jis se chaand ke 2 tukde ho gaye, sab haazireen ne 2 tukde dekh liye, phir woh donon tukde aapas mein mil gaye aur chaand jaisa tha waisa hi hogaya, isi ko "Shaqqe Qaamar" ka Mo'ajizah kehte hain. (Sahih Bukhaari: 3868)

❥Share on:
Email | Telegram | WhatsApp

Tuesday, July 22, 2025

Aqaaid (Part-27)

✺ ​Mo'ajizah ✺

​✺ Allah Ta'ala apne paigambaron se kabhi aadat ke khilaaf aisi baatein zaahir kara deta hai, jin par Allah Ta'ala ke siwa kisi ko qudrat nahin hoti, doosre log is ke karne se aajiz hote hain, aisi baaton ko "Mo'ajizah" kehte hain. (Sharhul Aqaaidin Nasafiyyah: 134 Meem)

​✺ Paigambaron se aadat ke khilaaf aisi baatein zaahir karaane ka maqsad logon ko samjhaana hota hai ke yeh Allah Ta'ala ke bheje huwe paigambar aur us ke makhsoos bande hain, paigambaron ke mo'ajizaat haq hain, un par imaan lana zaroori hai. Allah Ta'ala ne bahot se paigambaron ko un ki risaalat ki taaeed ke liye mukhtalif qism ke mo'ajize ata farmaaye,

​✺ Hazrat Moosa Alaihissalam ke asa (laathhi) ka saanp ban jaana,

​✺ Hazrat Isa Alaihissalam ka Allah Ta'ala ke hukm se murdon ko zinda karna,

​✺ Hazrat Daawood Alaihissalam ke haath mein lohe ka narm hojaana.

❥Share on:
Email | Telegram | WhatsApp

Monday, July 21, 2025

Aqaaid (Part-26)

​✺ Sahaaba RaziyAllahu Anhuma

​✺ "Sahaaba" sahaabi ki jama hai, jis shakhs ne imaan ki haalat mein Huzoor ﷺ se mulaaqaat ki ho aur imaan hi ki haalat mein us ki wafaat hui ho, us ko "Sahaaba'' kehte hain. (Umdatul Qaari: 24/229)

​✺ Sahaaba RaziyAllahu Anhuma bahot saare hain, un ke martabe aapas mein kam ziyaada hain, lekin tamaam insaanon mein ambiya Alaihissalam ke baad Huzoor ﷺ ke sahaaba ka martaba hai, tamaam Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhuma kaamil imaan waale, muttaqi, parhezgaar aur a'ala darje ke wali the. Tamaam sahaaba mein 4 Hazraat sab se afzal hain, pehle Hazrat Abu Bakr RaziyAllahu Anhu phir Hazrat Umar Faarooq RaziyAllahu Anhu phir Hazrat Usmaan RaziyAllahu Anhu phir Hazrat Ali RaziyAllahu Anhu.

✺ Hamaare Nabi ﷺ ki shareeat ka ilm hamein Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhuma ke zariye se haasil huwa, agar darmiyaan mein Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhuma ka waasta na hota, to ham ko na Qur'aane Kareem ka ilm hota aur na Aap ﷺ ki Hadees ka ilm hota, Allah Ta'ala ne sahaaba RaziyAllahu Anhuma ke liye apni raza wa khushnoodi ka elaan farmaaya hai.

​✺ Qur'aan mein hai: Allah in hi se raazi ho gaya aur woh Allah se raazi ho gaye. (Sura-e-Baiyyinah: 8)

​✺ Kisi bhi sahaabi ko bura bhala kehna jaaiz nahin, jo sahaaba par tanqeed kare aur un ki shaan mein gustaakhi kare woh bada gunahgaar aur faasiq hai. (Musannaf Abdur Razzaaq: 20710; Sharhul Aqaaidin Nasafiyyah: 161-163 Meem)

❥Share on:
Email | Telegram | WhatsApp

Sunday, July 20, 2025

Aqaaid (Part-25)

​✾ ​Hazrat Muhammad ﷺ aakhri Nabi

​✺ Sab se aakhri Nabi Hazrat Muhammad ﷺ hain. Aap ﷺ ke baad qayaamat tak koi Nabi nahin aayega, Aap ﷺ ne khud farmaaya: "Anaa khaatamun nabiyeena laa nabiyya ba'adee"

​✺ Tarjama: Main aakhri Nabi hoon, mere baad koi Nabi nahin aayega. (Abu Daawood: 4252)

✺ Lihaaza jo shakhs bhi Aap ﷺ ke baad apne Nabi hone ka daawa kare woh jhoota hai aur jo us ko Nabi maane woh kaafir hai. Huzoor ﷺ ke zamaane se le kar is waqt tak bahot se logon ne apne Nabi hone ka daawa kiya, woh sab ke sab jhoote the, Hazrat Isa Alaihissalam qayaamat ke qareeb aasmaan se utreinge, lekin woh bhi hamaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ ki shari'at par amal kareinge aur apne nubuwwat ke mansab par qaaim rehte huwe Huzoor ﷺ ki ta'aleemaat ke mutaabiq is ummat ki islaah farmaayeinge. (Bukhaari: 7121, Tafseer Ibne Kaseer: 3/527; Sharhul Aqaaidin Nasafiyyah: 137, 138 Meem)

✺ Aap ﷺ ke baad kisi Nabi ke aane ki zaroorat nahin rahi, is liye ke Allah Ta'ala ne Aap ﷺ ke zariye Deen ko har tareeqe se kaamil wa mukammal kar diya.

✺ Qur'aan mein hai: Aaj main ne tumhaare liye tumhaare Deen ko mukammal kar diya. Tum par apni nemat poori kardi, aur tumhaare liye Islaam ko Deen ke taur par (Hamesha ke liye) pasand kar liya. ([Sura-e-Maaidah: 3)

✺ Ref: Deeniyat Course book
❥Share on:

Saturday, July 19, 2025

Aqaaid (Part-24)

​✺ Marne ke baad dobaara zinda hona​

✺ Ham musalmaanon ka aqeeda hai ke marne ke baad dobaara zinda uthhaaya jaana haq hai aur Allah Ta'ala marne ke baad dobaara zinda karne par Qaadir hai, Qayaamat ke din Allah Ta'ala jism ki boseeda haddiyon aur mitti mein mile huwe rezon ko har jagah se jama karega, chaahe woh aag mein jala ho ya paani mein dooba ho ya jaanwar ke pet mein hazm ho gaya ho, jism ke tamaam ajza ko jama karega aur jo roohein duniya mein jismon ke andar theen, un ko jismon mein daal kar dobaara zinda karega.

✺ Qur'aan mein hai: Aur Kuffaar-e-Makkah kaha karte the ke jab ham mar jaayenge aur mitti aur haddiyaan ban kar reh jaayenge to kya hamein dobaara zinda kiya jaayega? Aur kya hamaare pehle guzre huwe baap daadon ko bhi? Keh do ke yaqeenan sab agle aur pichhle log ek muta'ayyan din ke taye shuda waqt par zaroor ikatthhe kiye jaayenge. (Sura-e-Waaqiah: 47-50)

✺ Marne ke baad dobaara zinda hona haq hai, jo shakhs bhi marne ke baad dobaara zinda hone ka inkaar kare ya us mein shak kare, to woh momin nahin hai.

✺ Ref: Deeniyat Course book
❥Share on:

Friday, July 18, 2025

Aqaaid (Part-23)

✺ Phir Hazrat Isa Alaihissalam aur doosre Ambiya Alaihissalam uthhenge phir Siddiqeen, Shuhada, Saaliheen aur Momineen yeh kehte huwe uthhenge:

"Alhamdu lillaahillazee azhaba annal hazn, inna rabbanaa lagafoorun shakoor"

✺ Tarjama: Allah ka shukr hai jis ne ham se gam ko door kar diya, beshak hamaara parwardigaar bahot bakhshne waala, bada qadardaan hai. (Shoabul Imaan: 100)

​✺ Akheer mein kuffaar aur bure log yeh kehte huwe uthhenge:

"Yaa wailanaa mam ba'asanaa mim marqadinaa"

✺ Tarjama: Haaye hamaari kharaabi! Kis ne ham ko hamaari qabron se uthha diya. (Shoabul Imaan: 357)

✺ Jo shakhs jis haal mein mara hai usi haal mein uthhega, shaheedon ke zakhmon se khoon beh raha hoga, jis ki rangat aur khushbu zaafraan ki tarah hogi, jo Haj mein mara hoga woh *"Labbaik …… "* kehta huwa uthhega, har shakhs barhana (nanga) aur gair makhtoon (bagair khatna kiye huwe) uthhega, sab se pehle Hazrat Ibrahim Alaihissalam ko safed Hulla (libaas) pehnaaya jaayega, un ke baad Hazrat Muhammad ﷺ ko kapde pehnaaye jaayenge (un ke baad aur Rasoolon aur Nabiyon ko, un ke baad doosre logon ko kapde pehnaaye jaayenge.)

(Muslim: 7413, Bukhaari: 237, Bukhaari: 1851, Bukhaari: 3349, Musnad-e-Ahmad: 3787)

✺ Ref: Deeniyat Course book
❥Share on:

Thursday, July 17, 2025

Aqaaid (Part-22)

✾ Marne ke baad dobaara zinda hona ✾
✺ Ba'as Ba'adal Maut ke maana hain marne ke baad dobaara zinda kar ke uthhaaya jaana. Qayaamat ke din Hazrat Israafeel Alaihissalam jab pehli martaba soor phoonkeinge to tamaam jaandaar mar jaayeinge aur phir Hazrat Israafeel Alaihissalam ko bhi Allah Ta'ala maut de denge, ek muddat ke baad Allah Ta'ala Hazrat Israafeel Alaihissalam ko zinda karenge, phir woh dobaara soor phoonkeinge, jis se tamaam log dobaara zinda ho jaayenge, isi ko "Ba'as Ba'adal Maut" kehte hain. (Sharahul Aqeedatit Tahaawiyya Li Saaleh bin Abdil Azeez: 1/534)
​✺ Sab se pehle hamaare Nabi ﷺ qabr-e-mubaarak se is tarah baahar tashreef laayeinge ke Aap ﷺ ke daahine haath mein Hazrat Abu Bakr Siddiq RaziyAllahu Anhu ka haath hoga aur baayein haath mein Hazrat Umar RaziyAllahu Anhu ka haath hoga. (Ibne Maaja: 4308; Tirmizi: 3669)
✺ Ref: Deeniyat Course book
❥Share on:
Email | Telegram | WhatsApp