✺ Sahaaba RaziyAllahu Anhuma
✺ "Sahaaba" sahaabi ki jama hai, jis shakhs ne imaan ki haalat mein Huzoor ﷺ se mulaaqaat ki ho aur imaan hi ki haalat mein us ki wafaat hui ho, us ko "Sahaaba'' kehte hain. (Umdatul Qaari: 24/229)
✺ Sahaaba RaziyAllahu Anhuma bahot saare hain, un ke martabe aapas mein kam ziyaada hain, lekin tamaam insaanon mein ambiya Alaihissalam ke baad Huzoor ﷺ ke sahaaba ka martaba hai, tamaam Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhuma kaamil imaan waale, muttaqi, parhezgaar aur a'ala darje ke wali the. Tamaam sahaaba mein 4 Hazraat sab se afzal hain, pehle Hazrat Abu Bakr RaziyAllahu Anhu phir Hazrat Umar Faarooq RaziyAllahu Anhu phir Hazrat Usmaan RaziyAllahu Anhu phir Hazrat Ali RaziyAllahu Anhu.
✺ Hamaare Nabi ﷺ ki shareeat ka ilm hamein Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhuma ke zariye se haasil huwa, agar darmiyaan mein Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhuma ka waasta na hota, to ham ko na Qur'aane Kareem ka ilm hota aur na Aap ﷺ ki Hadees ka ilm hota, Allah Ta'ala ne sahaaba RaziyAllahu Anhuma ke liye apni raza wa khushnoodi ka elaan farmaaya hai.
✺ Qur'aan mein hai: Allah in hi se raazi ho gaya aur woh Allah se raazi ho gaye. (Sura-e-Baiyyinah: 8)
✺ Kisi bhi sahaabi ko bura bhala kehna jaaiz nahin, jo sahaaba par tanqeed kare aur un ki shaan mein gustaakhi kare woh bada gunahgaar aur faasiq hai. (Musannaf Abdur Razzaaq: 20710; Sharhul Aqaaidin Nasafiyyah: 161-163 Meem)
No comments:
Post a Comment