*✾ Sawaal Jawaab ✾*
*❧ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ ke baad jo shakhs apne Nabi hone ka daawa kare woh kaisa hai?
*❧ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ ke baad jo shakhs apne Nabi hone ka daawa kare woh sab se bada jhoota hai.
✺ [Mustadrak: 8390]
*❧ Sawaal :* Tamaam nabiyon mein sab se afzal kaun hain?
*❧ Jawaab :* Tamaam nabiyon mein sabse afzal hamaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ hain.
✺ [Sahih Muslim: 1195]
*❧ Sawaal :* Rasoolon par Imaan laane ka kya matlab hai?
*❧ Jawaab :* Rasoolon par Imaan laane ka matlab yeh hai ke ham un sab ko Allah ka sachcha rasool samjhein.
✺ [Sura-e-baqarah: 285]
✺ Ref: Deeniyat Course book
No comments:
Post a Comment