*✾ Sawaal Jawaab ✾*
*❧ Sawaal :* Kya Rasool kabhi jhoot bolte hain?
*❧ Jawaab :* Nahin, Rasool kabhi jhoot nahin bolte.
✺ [Sura-e-Najm: 3-4]
*❧ Sawaal :* Kya Rasool kabhi gunaah karte hain?
*❧ Jawaab :* Nahin, Rasool gunaahon se paak hote hain.
✺ [Mirqaatul Mafaateeh: 1/300]
*❧ Sawaal :* Kya Rasool kabhi kisi paigaam ko chhupaate hain?
*❧ Jawaab :* Nahin, woh Allah ka har paigaam bandon tak pahonchaate hain.
✺ [Sura-e-Ahzaab : 39]
*❧ Sawaal :* "Rasool" aur "Nabi" kitne hain?
*❧ Jawaab :* Rasool aur Nabi ki thheek thheek ta'adaad sirf Allah Ta'ala hi jaanta hai.
✺ [Sharahut Tahaawiya Li Sadruddin: 2/234]
✺ Ref: Deeniyat Course book
No comments:
Post a Comment