✾ Sawaal Jawaab ✾
✺ Sawaal :Kya Allah Ta'ala ka koi shareek hai?
✺ Jawaab : Allah Ta'ala ka koi shareek nahin.
✺ [Sura-e-An'aam: 163]
✺ Sawaal : Hamein, hamaare maan baap aur poori duniya ko rozi kaun deta hai?
✺ Jawaab : Hamein, hamaare maan baap aur poori duniya ko rozi Allah Ta'ala deta hai.
✺ [Sura-e-Zaariyaat: 58]
❧ Sawaal : Zindagi, maut, izzat aur zillat kaun deta hai?
❧ Jawaab : Zindagi, maut, izzat aur zillat Allah Ta'ala deta hai.
✺ [Sura-e-Mulk: 2, Sura-e-Aal-e-Imraan: 26]
✺ Sawaal : Kya Allah Ta'ala har cheez dekhta hai aur har baat sunta hai?
✺ Jawaab : Ji haan ! Allah Ta'ala har cheez dekhta hai aur har baat sunta hai.
✺ [Sura-e-Asra: 1]
✺ Sawaal : Hamein kis ki ibaadat karni chaahiye?
✺ Jawaab : Hamein sirf Allah Ta'ala ki ibaadat karni chaahiye.
✺ [Sura-e-Hood: 26]
✺ Ref: Deeniyat Course book
No comments:
Post a Comment