*✾ Sawaal Jawaab ✾*
*❧ Sawaal :* Hazrat Israafeel Alaihissalam ka kya kaam hai?
*❧ Jawaab :* Hazrat Israafeel Alaihissalam Qayaamat ke din soor phoonkeinge.
✺ [Sho'abul Imaan: 353]
*❧ Sawaal :* Hazrat Izraaeel Alaihissalam ka kya kaam hai?
*❧ Jawaab :* Hazrat Izraaeel Alaihissalam ka kaam makhlooq ki jaan nikaalna hai, jinhein "Malakul Maut" bhi kehte hain.
✺ [Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah: 34969]
*❧ Sawaal :* Aamal likhne waale farishton ko kya kehte hain?
*❧ Jawaab :* Aamal likhne waale farishton ko "Kiraaman Kaatibeen" kehte hain.
✺ [Sura-e-Infitaar: 11]
*❧ Sawaal :* Aafaton aur balaaon se insaan ki hifaazat karne waale farishton ko kya kehte hain?
*❧ Jawaab :* Aafaton aur balaaon se insaan ki hifaazat karne waale farishton ko "Hafazah" kehte hain.
✺ [Sura-e-An'aam: 61]
✺ Ref: Deeniyat Course book
No comments:
Post a Comment