*✾ Sawaal Jawaab ✾*
*❧ Sawaal :* Farishte kaun hain?
*❧ Jawaab :* Farishte Allah Ta'ala ki Nooraani makhlooq hain, jinhein "Malaaika" bhi kehte hain.
✺ [Sahih Muslim: 7687]
*❧ Sawaal :* Kya Farishte khaane peene ke mohtaaj hain?
*❧ Jawaab :* Nahin ! Farishte khaane peene ke mohtaaj nahin hain.
✺ [Fathul Baari: 9/492]
*❧ Sawaal :* Kya Farishte Allah Ta'ala ki na farmaani karte hain?
*❧ Jawaab :* Nahin ! Farishte Allah Ta'ala ki na farmaani nahin karte.
✺ [Sura-e-Tahreem: 6]
*❧ Sawaal :* Allah Ta'ala ne farishton ko kya taaqat de rakhi hai?
*❧ Jawaab :* Allah Ta'ala ne farishton ko mushkil kaamon ke karne ki taaqat de rakhi hai.
✺ [Sura-e-Faatir: 1]
✺ Ref: Deeniyat Course book
No comments:
Post a Comment