*✾ Sawaal Jawaab ✾*
*❧ Sawaal :* Jin cheezon ka hona muqaddar hai kya unko koi rok sakta hai?
*❧ Jawaab :* Jin cheezon ka hona muqaddar hain un ko koi rok nahin sakta.
✺ [Abu Dawood: 4700]
*❧ Sawaal :* Taqdeer ke baare mein hamein kya taaleem di gayi hai?
*❧ Jawaab :* Taqdeer ke baare mein hamein taaleem di gayi hai ke us ke baare mein koi bahes aur hujjat na karein.
✺ [Tirmizi: 2133]
*❧ Sawaal :* Pehli ummatein kyun halaak huweein?
*❧ Jawaab :* Pehli ummaten taqdeer ke baare mein bahes aur hujjat karne ki wajah se halaak huweein.
✺ [Tirmizi: 2133]
*❧ Sawaal :* Kya marne ke baad dobaara zinda hona hai?
*❧ Jawaab :* Ji haan, marne ke baad dobaara zinda hona hai.
✺ [Sura-e-Saaffaat: 16-18]
✺ Ref: Deeniyat Course book
No comments:
Post a Comment